OwnSkin logo
To sign my guestbook, you need to signin first.
Cuming soon

Nancycylic Guestbook

jerry3675  (13 years ago)
Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga…
♥ ♥ ♥
Meri Jaan Ke Gore Haathon per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya
Hoga…
♥ ♥ ♥ Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka
Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam
Chupaya Hoga…
♥ ♥ ♥
Reh Reh Ker Ro Padegi Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya
Hoga…
♥ ♥ ♥
Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya
Hoga… ♥ ♥ ♥
Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi
Sharmaya Hoga…
♥ ♥ ♥
Aaj Meri Jaan Ne Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya
Hoga…
♥ ♥ ♥
Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya
Hoga… ♥ ♥ ♥
Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud
Ko Samjhaya Hoga…
♥ ♥ ♥
Apne Haathon Se Usne Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya
Hoga…
♥ ♥ ♥
Khud Ko Majboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya
Hoga… ♥ ♥ ♥
Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon
Mein,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir
Khaya Hoga…
♥ ♥ ♥ Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya
Hoga…
♥ ♥ ♥
Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga…
♥ ♥ ♥
Mein To Majboor Hoon Pata Hai
Use,
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne
Paaya Hoga… ♥ ♥ ♥
Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega
Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya
Hoga…
♥ ♥ ♥ Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya
Hoga…
♥ ♥ ♥
Ro Padegi Aatma Bhi
Dil Bhi Cheekha or Chilaya Hoga… ♥ ♥ ♥
Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka
Dabaya Hoga…
♥ ♥ ♥
Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne
Khaya Hoga…

Home | English
Old OwnSkin Mobile
Login
Feedback/Help
©2009 http://m.ownskin.com